Monday 2 May 2016

Android Mobile Ki Screen Record Kaise Kare ?

Hello Friends,
Me Govind Swami From OnlineGovind
Aaj Haam Baat Krenge Ki Android Mobile Ki Screen Record Kaise Kare?
Screen Record Ka Matlab Hai,Jab Kisi Screen Recorder Ke App Ko Screen Recording Ke Liye Start Karke,Aap Apne Mobile Me Jo Bhi Chalate Hai Uska Ek Video Bankar File Me Save Ho Jata Hai,Fir Ham Us Video Ko Jab Chahe Dekh Sakte Hai,Share Bhi Kar Sakte Hai.
Es Screen Recorder Ka Upyog Log Aksar Kiya Karte Hai.
Aap Es App Ki Madad Se Apne Friend Ki Help Kar Sakte Hai Jaise Aapke Friend Ko WhatsApp Account Nahi Banana Aata,To Aap Es App Ki Madad Se Apne Mobile Phone Me WhatsApp Ka New Account Banate Hai Aur Usko Screen Recorder Se Record Karke Apne Friend Ke Paas Send Kar Dete Hai,Ab Wo Friend Us Video Ko Dekhke WhatsApp Account Banana Sikh Jayega.
Ya Fir Screen Recorder Ka Upyog Karke Aap Apni Koi Art/Technology Ko Dunia Ke Sath Video Ke Madhyam Se Share Kar Sakte Hai Jaise YouTube Par.

Chaliye Jante Hai Ki Android Mobile Ki Screen Record Kaise Kare -
Screen Record Karne Ke 2 Methods,Me Aapko Batane Wala Hu.
Method.1- First Method Me Jo Screen Recording Ki App Hai Wo Hai 'SCR Pro'.
Ye App Sirf Rooted Mobile Me Hi Work Karega.
'Jane Ki Kaise Android Mobile Ko Root Kiya Jata Hai'.
SCR Pro Se Screen Record Karne Ke Liye Mujhe Step By Step Follow Kare -
Step.1~ Sabse Pehle 'SCR Pro' Download Kijiye,Jo Ki Aapko PlayStore Me Bhi Mil Jayega.
Step.2~ Ab SCR Pro Open Kare,Jab Aap SCR Pro Ko Open Karoge To Aapke Samne 2 Options Aayenge,Wo 2 Options Root Ki Permission Ke Honge,Un 2 Options 'Deny' Aur 'Allow' Me Se Aapko 'Allow' Par Click Karna Hai.
Step.3~ Ab Aapko SCR Pro Ki Setting Ko Thik Karna Hai,
SCR Pro Open Kijiye >>
*Encoder >> FF mpeg software MPEG4 encoder
>> Software MPEG-4
*Resolution >> 480×320-Max
Ye Setting Select Karke Save Kar De.
Ab Jab Aap Dubara Se SCR Pro Ko Open Karoge To Aapke Samne Ek Patti Si Aayegi Jisme 3 Options Honge,
First- Screen Recording Start Karne Ka.
Second- SCR Pro Ki Setting Me Jane Ka,
Third- SCR Pro Se Quit Hone Ka.
Aapko Pehle Pe Click Karna Hai,Jo Screen Recording Start Karne Ka Hai,Jab Uspe Click Karoge To Recording Hona Start Ho Jayegi,Jab Completely Screen Recording Kar Lo Tab Aapko SCR Pro Ke App Par Click Karna Hai,Screen Recording Stop Ho Jayegi Aur Aapne Jo Recording Ki Hai Wo Aapko File Me 'Screen Recorder' Name Ke Folder Me Mil Jayegi.


Method.2- Second Method Me Aapko 'MobiZen' Android Screen Recorder App Ke Baare Me Bataunga.
Ye App Har Android Mobile Me Chal Sakta Hai,Esme Root Ki Bhi Koi Jarurt Nahi Hai.
Yeh Aapko PlayStore Me Mil Jayega Jaha Se Aap Ese Download Karke Aasani Se Screen Record Kar Sakte Hai.
Mere Hisab Se Agar Aapka Mobile Rooted Hai To Aapko First Method Wala SCR Pro Ka Upyog Karna Chahiye,Kyoki Me Bhi Screen Recording Ke Liye SCR Pro Ka Hi Upyog Karta Hu.

To Friends,Android Mobile Ki Screen Record Karna To Aapne Sikh Hi Liya Hoga ?


Agar Koi Dikkat Aaye Ya Koi Question Ho To Comment Me Puchhe.

1 comment:

Apna Massage Yaha Likhe