Tuesday 8 December 2015

Blog Ya Website Kaise Banaye?



Hello Friends,
Me Govind Swami From Online Govind


Aaj Me Aapko Bataunga Ki Website Ya Blog Kaise Banate Hai?


Aapko to pata hi hoga ki aaj ki duniya me sab kuch online hota hai,
Example:- Shopping,Train,Bus Ya Taxi Booking,Recharge Aur Earning Etc.
Aaj ham enme se ek online work ke baare me,Me aapko bataunga Aur Wo Hai - Free Blog Ya Website Kaise Bananai Jaati Hai?
Blog Se Log Bahut Sari Earning Karte Hai,Log Apne Business Ko Blog Par Promote Karte Hai Aur Apne Business Ke Baare Me Logo ko blog ke dwara batate hai,
Blog Par Aap Apna Knowledge Share Kar Sakte Hai Yaa Apna Kisi Chij Ke Liye Anubhav Share Kar Sakte Hai,
Aur Bhi Bahut Sare Tarike Hai Blog Se Earning Karne Ke.
Blog Banana Bahut Hi Aasan Hai,ye post Read Karne Ke Baad Aap Bhi jaan jaaoge ki kitna aasan hai ye.
Chaliye jante hai ki blog kaise banate Hai?
Mujhe Step By Step Follow Kre-
Step.1:- www.blogger.com par jaye.
Jab aap blogger.com par jaoge to usme aapko Google account matlab Gmail ko sign in karne ke liye aayega,use aapko apni Gmail ID aur password dalke sign in hona hai.
Note:- Agar aapke pass Gmail account nahi hai to pehle wo bana le.
Step.2 :- fir aapko New Blog Ki Button Par Click karna Hai.
Step.3 :- Ab  aapke paas ek naya page aayega jisame aapko apne blog ka title,address dalna hai aur ek template Select  Karna Hai,
1.Title - Esme aapko apne blog ka naam dalna hai jis naam ki aapko blog banani hai
Example:- FMS.Com
2.Address - Esme Aapke Blog Ka Address Dalna Hai,Aisa Address Jo pehle se kisi aur blog ka na ho
Example:- FMS.Blogspot.com
3.Template - Niche Kuch Templates Di Hui Hogi Unme Se Ek Template Select Kre.
4.Create Blog  - Last Me Create Blog Ki Button Par Click Kre.
Ye Lijiye Aapki Blog Bankar Tyar Hai.
To Aap Blog Banana To Sikh Hi Gaye Honge,Kuchh Dino me meri new post aa rhi hai.
Blog Banate Time Koi Bhi Problem Aaye Ya Koi Question Puchhna Ho To Comment Me Likhe

15 comments:

  1. bhaii nahi ho rha h blog.. tum btao..

    ReplyDelete
  2. bhaii kuch post kaise dalu...??

    ReplyDelete
  3. #Monu Aap Browser Me Blogger.com Open Karke Waha Post Update Kar Sakte Hai,Agar Aap Android Mobile Ka Use Karte Hai To Ye Blogger Ke Android App Se Aap Post Update Kar Sakte Hai,


    Blogger Ka Android App Ki Link --

    https://play.google.com/store/apps/details?id=com.google.android.apps.blogger

    ReplyDelete
  4. mjhe abhi profile.. banani h blo
    g me to uska bhi btao

    ReplyDelete
  5. Kaise Profile?

    Me Kuchh Samjha Nahi....

    ReplyDelete
  6. Address me sort bol rha hai

    ReplyDelete
  7. #Monu Aapki Profile Blog Ke Niche Wale Part Me Already Create Hai,Bas Aapko Apni Photo Lagani Hai

    ReplyDelete
  8. Jo Aap Google+ App Ka Upyog Karke Laga Sakte Hai.

    ReplyDelete
  9. ham blog se paise kaise payge

    ReplyDelete
  10. #Animesh

    Blog Pe Ham AdSense Se Paise Kama Sakte Hai.

    ReplyDelete
  11. mene blog bna diya he ab mujko post uplode kesi krni he

    ReplyDelete
  12. #Shoaeb


    Aap Browser Me Blogger.com Open Karke Waha Post Update Kar Sakte Hai,Agar Aap Android Mobile Ka Use Karte Hai To Ye Blogger Ke Android App Se Aap Post Update Kar Sakte Hai,Blogger Ka Android App Ki Link --https://play.google.com/store/apps/details?id=com.google.android.apps.blogger

    ReplyDelete
  13. bhai ye to blog ki trick hai website kaise banaye

    ReplyDelete
  14. @Swapnil Bhai Jab Aap Blog Banate Ho To Uska Link Hota Hai onlinegovind.blogspot.com Aap Usko onlinegovind.com Me Badal Doge To Wo Website Ban Jayegi.

    Mera Matlab Aapko Apni Website Par .com Lagane Ke Liye .com Ka Domain Buy Karna Hoga.

    .com Domain Ki Price 99Rupees Hai 1 Year Ke Liye.

    ReplyDelete

Apna Massage Yaha Likhe