Sunday 28 February 2016

Facebook Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye?


Hello Friends,
Aap Facebook Ka Upyog To Karte Hi Honge,Aap Facebook Ke Jariye Apne Friends,Family Members,Ristedaro Se Jude Reh Sakte Hai,Facebook Par Ham Koi Jankari Share Kar Sakte Hai Jaise Post,Images,Video Etc. Aur Dusre Ki Share Ki Huii Dekh Sakte Hai.
Facebook Ka Upyog Croro (100000000) Log Roj Karte Hai.
Ab Ham Hamare Most Chapter Par Aate Hai,Facebook Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye?
Facebook Account Hack Hone Ka Sabse Bada Karn Hai,User Ko Pata Naa Hona Ki Hack Kaise Hota Hai.
Ham Har Ek Trike Ke Baare Me Janenge Jiske Karn Facebook Account Hack Ho Sakta Hai,
Ek Baat Ka Dhyan Kar Le Ki,Me Aapko Koi Account Hack Karke Nahi Batane Wala,Me Sirf Aapko Facebook Ki Security Kaise Badhaye Jisse Hamara Facebook Account Hack Naa Ho.

Me Aapko Ek Jaruri Baat Bata Du Ki Facebook Par Har Roj 8 Lakh Baar Galat Password Dalkar Account Hack Karne Ki Kosis Ki Jati Hai,Kuchh Log Hack Kar Bhi Lete Hai. To Chaliye Jante Hai Ki - Apne Facebook Account Ko Puri Trah Secure Kaise Kre.


Kuchh Trike Hai Jinse Aap Apne Facebook Account Ko Hack Hone Se Bacha Sakte Hai !


(1)-Save Password Par Tik Na Kare->
Jab Bhi Facebook Par Login Karte Hai To ID Aur Password Dal Kar Login Hona Padta Hai,Aapne Dekha Hoga Ki Jab Ham Facebook Par Login Hote Hai To 'Save Password' Ka Option Aata Hai,Uspar Click Karne Ka Matlab Hai Jab Tak Aap Logout Nahi Karte Tab Tak Login Hi Rahenge,Save Password Ka Upyog Aap Apne Personal Computer,Laptop Ya Mobile Me Kar Sakte Ho Taki Aapko Apna Account Open Karte Time Baar Baar ID Aur Password Naa Dalna Pade,Par Es Option Ka Khatra Jab Hota Jab Aap Kisi Public Place Par Ho Jaise Net Cafe.
Aise Estano Par Sawdhan Rahe.

(2)-Password Majbut Rakhe -->
Aap Apne Facebook Account Ka Password Ko Jitna Majbut Rakhoge Utna Hi Aapka Account Jyada Secure Rahega.
Password Aisa Hona Chahiye Jiska Koi Bhi Aasani Se Pata Naa Laga Paaye,Kai Log Kya Galti Karte Hai Ki Apna Name,Sure Name Ya Mobile Number Ko Password Bana Lete Hai,Aapka Password Aisa Hona Chahiye Jo Aapko To Aasani Se Yaad Rahe Aur Dusra Uska Andaja Bhi Na Laga Paye.



(3)-Login Alert Enable Kare -->
Esse Aapka Account Jab Bhi Login Hoga,Aapko Email Par Massage,Facebook Par Notification,Mobile Par SMS Aa Jayega (Inme Se Jo Enable Hai Wahi Aayega) Jisse Aapko Apni Account Details Ka Pata Rahega.




(4)-Facebook Par Faltu Logo Ko Block Kare-->
Facebook Par Bahut Log Fake Account Bana Lete Hai,Facebook Par 10% Fake Accounts Hai.
To Agar Aapko Koi Facebook Par Pareshan Kare Ya Aap Nahi Chahte Ki Aapki Koi Share Ki Gai Jankari Wo Naa Dekhe To Aap Usko Block Kar Sakte Hai.




(5)-Mobile Number Add Kare -->
Facebook Account Me Apne Mobile Number Jarur Add Rakhne Chahiye,Aapne Dal Rakhe Hai To Achha Hai,Agar Nahi Add Kiye Hua To Mobile Number Jarur Submit Kar De.
Esse Agar Kabhi Aap Apne Password Bhul Jate Hai To Forget Password Kar Sakte Hai Aur Mobile Number Se Aapke Facebook Account Ke Massages,Notifications Aapke Mobile Me SMS Ke Jariye Aa Jayenge.





(6)-Har Kisi Ki Friends Request Accept Naa Kre -->
Jo Aapke Pehchan Ke Ho Unhi Ko Friends Banaye,Agar Koi Aapke Paas Friend Request Bhejta Hai To Pehle Uski Profile Check Kar Le Ki Kahi Wo Fake To Nahi.




(7)-Privacy Setting Sahi Rakhe -->
Aap Apne Facebook Account Pe Kya Share Karte Hai,Use Kon Kon Dekh Sakta,Kon Aapko Tag Kar Sakta Hai,Esi Trah Ki Poori Setting Aap Apni Account Privacy Me Jakar Kar Sakte Hai,Esse Agar Aap Chahe Ki Koi Meri Shared Jankari Naa Dekhe To Setting Me Jakar Kar Sakte Hai.





(8)-Fake Login Page Se Apne Account Ko Bachaye -->
Kuchh Log Facebook Par Kisi Ka Account Karne Ke Liye Bilkul Facebook Ki Website Jaisa Hi Login Page Banate Hai Aur Uski Link Send Kar Dete Hai Jiska Account Hack Karna Hai Uske Paas , Fir Jab Wo Usme Apni Facebook Ki ID Aur Password Dal Kar Login Karta Hai To ERROR Aata Hai Aur Uska ID Aur Password Hacker Ke Paas Chala Jata Hai. Esko Check Kar Le Ki Login Page Fake To Nahi Hai,Apne Browser Me Facebook Ki Link Facebook.Com Hi Ho, Hackers Kya Karte Hai Ki Ek Aisi Website Banate Hai Jo Facebook Ke URL Ki Trah Hi Lage,Jaise Facedook.com Aur Uski Link Use Send Karte Hai Jisko Hacker Ne Target Kiya Hai. Agar Aapko Lage Ki Maine Apni ID Aur Password Fake Page Pe Dal Diya,To Turant Password Change Kar Le.




(9)-Key-Logger Se Sawdhan Rahe ->
Key-Logger Computer Ka Ek Software Hai,Jisko Computer Me Install Karne Ke Baad Jo Bhi Buttons Dabaye Jate Hai,Computer Me Wo Save Ho Jate Hai,To Agar Aap Kisi Dusre Ke Computer/Laptop Me Apna Facebook Account Login Karte Hai To Pehle Ye Dhyan Rakhe Ki Ye Bharose Ka Aadmi Hai Ki Nahi,Khas Tor Se Net Cafe Par Sawdhan Rahe.




(10)-Account Deactivate Kar De -->
Ye Jo Trika Hai Usse Aapke Account Ki Security To Nahi Badhti Par Agar Aapko Lage Ki Mere Account Ke Sath Koi Chhed-Chhad Kar Raha Hai Ya Koi Mere Account Ko Hack Karne Ki Kosis Kar Raha Hai, To Aap Apne Account Ko Deactivate Kar Sakte Hai,Jisse Koi Dusra User Aapki Profile Se Koi Jankari Nahi Dekh Payega.
Agar Koi Question Ho To Comment Me Puchhe,Mujhe Khusi Hogi Aapke Question Ka Answer Dete Hua.
************Best Of Luck************

No comments:

Post a Comment

Apna Massage Yaha Likhe